Koi umeed bar nahi ati
koi soorat nazar nahi ati
Moat ka aik din mo-ayeeyan hai
neend kyun raat bar nahi ati
Agay ati thi hal-e-dil pe hansee
ab kisi baat per nahi ati
Jaanta hoon sawab-e-teyat-o-zohad
per tabiyaat udher nahi ati
Hai kuch aisee hai baat jo chup hoon
warna kiya baat ker nahi ati
Kiyon na cheekhon ke yaad kartay hein
meri awaaz gar nahin ati
Daag-e-dil gar nazar nahin ata
boo bhi ae chaaraagar nahi ati
Hum wahan hain jahan say hum Ko bhi
kuch hamari khabar nahi ati
Martay hein arzoo mein marnay ki
moat ati hai per nahi ati
Kabah kis moun say jao gay Ghalib
Sharam tum ko magar nahi ati
No comments:
Post a Comment